Friday, May 21, 2010

YA ALI A.S MADAD

jo jaanta hi nahin ishq e MURTAZA ki hai
phir aisay shaks ke jeenay se faida kia hai
jisay nabi ne pukara tha apni mushkil mein
usay jo hum, bhi pukaaray to phir bura kia hai
zuban e meesam e tammar hi bataye gi
sharaab e midhat e haider ka zaaiqa kia hai
kaha khuda ne namazo ki baat jab aayee
baghair ishq e ALI ho to faida kia hai
meri lahad peh ALI se kaha farishton ne
yeh aap ka hai to phir is se poochna kia hai
——————————————-
Hay shauq dil meiN manqabat- e Bu-Turab ka
Alfaaz magar rakhtay nahi quwwat-e-wafa
Taab-e- ramak-e Ilm-e- Ali(as) rakhtay nahi haiN
Seena hua hai shaq tabhi har aik chah ka
munkir e haider ko tab tak maza aata nahin
jab talak mein na karloon khul ke maula ki sana
jab talak keh who maar tehzeeb ki khaata nahin
bazm e maula mein mujhay lutf e sukhn aata nahin
zaib deta hai zaat e yazdaan ko faqat
keh dia haq ne ALI hain mohtram baad e nabi
ehl e nakhwat ki samajh mein yeh magar aata nahin
feham mein teray magar yeh qaul e haq aata nahin
batan e maadar mein bhi thay mushkil kusha meray imam
haq ka ho dastoor jis ki mominiyat ka chashm
martaba likin yeh kisi “haasid” ko bhaata nahin
jaabiro se maat kabhi who momin khaata nahin
jis ka haider naam ho,who naam rakhnay se faqat
sath haider ke ho haideriat bhi to phir
aik saraapa haideri saanchay mein dhal jaata nahin
who kisi marhab ,kisi antar se ghabrata nahin
ibne muljim saamnay aakar kahin karta jo waar
inkisaari mein hain panhaan kamrani ke romoz
khud moarrikh bhi yeh kehta hai sambhal pata nahin
dhiyaan se yeh meray farmaan e ALI jaata nahin
shahaan e jahan sab hain gada e haider
hai abr e karam dast e sakhaaye haider
yaqoob o khalel o yusaf o adam o nooh
sab ki mushkil mein kaam aaye haider
Yeh joodo sakha haatim e taaye mein nahin
misl in ke koi uqda kushai mein nahin
maabood ke hain abd, nuseri ke khuda
banda koi haider sa khudai meain nahin
ALI ki manzilat kuch poochiyein salman o bozar se
Ali ko pehchana,to in dono ne pehchana
ALI ki dosti aur dushmani mein farq hai itna
Who dozakh ki sanad hai,aur yeh jannat ka parwaana
Aalam e islam mein kaaba hi qibla hi faqat
Aur is ghar mein ALI,molood e kaba hai faqat
Jo mila hai Allah k ghar se who aala hai faqat
Who nabi k baad momin ka sahaara hai faqat
Azmat ibne abu talib ko samjhay to jahan
Hon khuda k ghar mein paida aik ishaaara hai faqat
Aasmaan se jab chala anjum to is ko tha yaqeen
Dar e ALI ka qaabil e taazeem o sijda hai faqat
Jang e khandaq ho,ya Khyber,ya keh ho jang e badar
Saaray gazwon mein ALI ka naam aula hai faqat
Senkrron maaray gaye haider k haathon se magar
Hum wazan do lakht marhab ka janaza hai faqat
Who ALI jo hai wali bhi aur wasiye Mustafa
Is ko hi mushkil kusha keh kar pukaara hai faqat
ALI KI BAZM KA KUCH AISE AETEMAM KARE
FARISHTE AAKE ZAMIN PAR HAME SALAM KARE
YEH AARZU HAI KI YU ZINDAGI TAMAM KARE
NAJAF ME SUBAH KARE KARBALA ME SHAAM KARE.
ALI ALI NAZAR AAE JIDHAR JIDHAR DEKHA
ALI KA NOOR EK SHA-E-ME JALWAGAR DEKHA
ALI KO HAQ NE UTARA AIN KAABE ME
KHULI JO AANKH TO PEHLE KHUDA KA GHAR DEKHA.
————————————————–
yay sochna hee abas hae kahaN kahaN hae ALI
jahaN jahaN hae haqeeqat wahaN wahaN hae ALI
idher hae zaat-e- khuda,udher hae zaat-e-muhammad
inhee lateef hijabouN kay darmiyaaN hae ALI..
Kia khaak who darray gay lehad ke azaab se
Mansoob hai jo khaak e dar e boo turab se
Mushkil kusha hain paas farishto adab karo
Mushkil mein daal doon ga sawaal o jawab se
Khyber mein dekhna,yeh hai jibrael ya ajal?
Lipta hua hai kon ALI ki rikaab se
Jo “YA ALI MADAD� ko gunah keh ke charrh gaye
Who bekhabar hai meray gunnah k sawaab se
Pehlay yeh zid thi khuwab mein dekhay gay hum khuld ko
Ab zid hai keh khuld mein jaagain gai khuwab se
Mohsin..bahisht MOLA ALI ki wila se hai
Mein ne yehi parha hai khuda ki kitaab mein
Uroose azm ki zeenat sana e haider hai
Bayan ka husne latafat sana e haider hai
Gul e riaz fasahat sana e haider hai
Khuda ki ain ibadat sana e haider hai
Jo haq shanaas hain un ko sana yeh bhaati hai
Yehi sana to bahisht e bareen dikhati hai
Tatheer keh rahin hai taharat ALI ki hai
Afzal kahein jisay,who ibaadat ALI ki hai
Insaaf ki sada hai,adaalat ALI kihai
Arzo sama ALI ke hain,jannat ALI ki hai
Kaabay mein khaas jaaye wiladat ALI ki hai
Masjid mein jo hui who shahadat ALI ki hai
Naad e Ali ka wird jo karte chali gaye
umr e rawan sakoon say guzarte chali gaye
deewana waar loug bhi martay chalay gaye
taigh e Ali jidher say guzarte chali gaye
Aik rooz ye manzar badlega, aik din ye chaman lehrayega
gulshan me chalegi aysi hawa, ye dour-e-khaza mit jayega
ye dharti sona uglegi, ye chargh gohr barsayega
aik din ye nizam-e-zulm wo sitam, qud zaalim ko rulwayega
qanjar ka kaleja kanpega, talwaar ka sar jhuk jayega
sab thaat pada rehjayega, jab aane wala aayega
Hai azme Khalili sinoan me, sholoan me phool khila denge
Hathoan me nihan hai zoore Ali, Khaiber ka saman dikhla denge
Abbas-e-dilawar ke waris, har ek ki pyas bhuja denge
Ye nasl wa mulk wa rango watan, ki sab diware gira denge
Is waqat fiza-e-alam me, bas ek Alam lehraega
sab thaat pada rehjayega, jab aane wala aayega
ya Ali tera haseen naam bhala lagta hai ,
aur teri nisbat say yeh islam bhala lagta hai,
laug kehte hain tere ishq mein kafir mujh ko ,
aur mere dil ko ye ilzam bhala lagta hai!!
———————————————
SAFAR TAVEEL HAI , UMRE DARAZ CHOTI HAI
ALI KA ZIKR BAHOT HAI , HAYAT CHOTI HAI
ALI KO KAISE MAIN MAULA E KAYNAAT KAHU
BADA HAI NAAM E ALI , KAYNAAT CHOTI HAI
ALI FUROO BHI HAI , ALI USOOL BHI
ALI MAULAE KAYNAAT , SHOHRE BATOOL BHI HAI
YA ALI KEHNA AGAR HAI HARAAM (MAZALLAH)
TO IS GUNAH ME SHAMIL MERA RASOOL BHI !!
————————————————-
chamakta hai kahan aflaak peh mehr e jabeen aisa
kahan hoga wilayat ki anghooti mein nageen aisa
khuda mehfooz rakhein chashme bad se husn e haider ko
barri mushkil se paya hai nabi ne jaanasheen aisa
-———————————————–
ahl-e- qirat ki aankh ka taara hae YA ALI
aur mo’minooN k dil ka sahara hae YA ALI
meri tamam mushkilain aasaan ho gayeN
mushkil mae maeinay jab bhee pukaraa hae YA ALI
————————————————
Bhaetek rehay ho to raah-e-thawaaaab bhee dhoondhoo
andherey hayn to koi aftaab bhee dhoondho
banay ho matttiii saay mitt jaao gay musalmano
jo bechhna hay to koi Buuturaabbhee dhoondhoo
———————————————–

Bohat kam hai jo khul jaatay hain izhaar-e-dili kar ke
Taassur hi batata hai haqeeqat munjali kar ke
Munaafiq aur momin ki agar pehchan karniho
Faqat chehray ko dekha chahiyyein zikr-e-ali kar ke
Meri majaal hi kia aur kia meri auqaat
Kuja haqeer sa banda kuja imam ki zaat
Karay jo wasf-e-ALI,hai yeh kis ke bas ki baat
Who zaat jama hain jis mein sab anbiya ki safaat
Har aik zarra-e-imkaan ne yun to banaya hai
Bajuz khuda o nabi kis ne un ko jaana hai
——————————————–

Jab se tumhain madad ko pukara hai YA ALI
har moj ki jilao mein kinara hai YA ALI
Behr-e-hayaat,hasrat-e-toofan nikaal dey
berra bhanwar mein keh ke utaara hai YA ALI
us ki nazar mein shaukat-e-taajo sareer kia
jo bhi ghulam dil se tumhara hai YA ALI
bakhshi hai tum ne fikr bashr ko tajalliyaan
tum ne shaoor-e-zeest nikhara hai YA ALI
hai aap hi ka ishq anees-e-game-hayaat
warna hayaat kis ko gawara hai YA ALI..
—————————————–
Kuch aur bhi bawaqaar hojata hai
Madhosh bhi hoshiyaar hojata hai
Jo peeta hai jaam-e-mai-e-hubb-e-ALI ,
Konain ka raazdaar ho jaata hai…
Kabhi ishq o maarifat ke shaaoor tak woh na pohncha
raha zulmaton mein hairaan kabhi noor tak na pohncha
yehi silsila-e-tareeqat hai yehi silsal-e-haqeeqat
jo ALI talak na pohncha,woh huzoor tak na pohncha
tamanna thee k pewand-e-khak-e-karbala hotay
wahan bhi khaak hee hotay magar khaak-e-shifa hotay
chashm-e-imaan mein ,nuseri hain alag,hum hain alag
woh khuda kehtay hain,hum sher-e-khuda kehtay hain
Woh aaftaab-e-fazeelat jisay zawaal nahin
karoon jo wasf to itni meri majaal nahin
tamam aalam-e-insaaniyat mein baad-e-Rasool
Khuda gawah,ALI ki koi misaal nahin..
———————————————
Moula Ali Ki Shan Main Likhne Walo
Apne Her Lafaz Ko Anmol Samjhoo
Ataa Hoti Hai Yeh Dar_E_Zehra Se
Apni Her Tehreer Ko Maqbool Samjhoo
—————————————-
—-
QIRDAR YAKEENAN MASOOM THA TERA ABBAS
UMMUL BANEEN KA LAAL SHERE KHUDA KA SHER HAI TU ABBAS
AB JO FATEMAH NE KEH DIYA TUJHKO APNA BETA ABBAS
TO FAQR SE KEH SAKTE HAM TUJHKO MOHAMMAD KA NAWASA ABBAS.
KAT GAYE HAATH MAGAR SINA SIPAR HAI ABBAS
FAUJE SHABBIR SA FAILA NE NAZAR HAI ABBAS
THARTHARAHAT SI JO DARIYA ME NAZAR AATI HAI
YEH TERE EK TAMACHE KA ASAR HAI ABBAS.
—————————————————
naam-e-abbas waseela hai har dua ke liye
ism e azam hai yeh momin ki iltija ke liyei
mansha e zehra iraada hai ali hukm e jali
saaniy e jaffer e tayyar hai gairat ka wali
khud chuna khaaaliq e akbar ne hai wafa ke liye
koi maanay ya na maanay hai ye eamaan mera
naam e abbas to bakhshish ka hai samaan mera
chashma e faiz hai yeh dar har aik ata ke liyein
baab peh sher e shayadat keh jobhi aaye ga
jo bhi maangay ga qasam haq ki usay mil jaaye ga
nuskha e keemya hai naam peh aik shifa ke liyein
deed karti hoon alam per to saans rukta hai
yaad aajata hai gaazi mujhay yun lagta hai
ab bhi rota hai yeh zainab teri rida ke liyein

0 comments:

Post a Comment