Friday, May 21, 2010

Kya Mohammad ka Pyara Nahin Houn

Mujhe pay kyun band karte ho paani

Ya Hussain
Mera nana Nabi, meri maa Sayyada
Mera baba Ali, mera bhai Hasan
Hum hi hein Panjatan
Meri kya he khata, mujhpe kyun band karte ho pani
Kiya Muhammad ka pyara nahin hun
Kya mein Zahra ka jaya nahin hun
Kya Nabi ka nawasa nahin hun

1. Mere nana ne kalma sikhaya
Aur quran tumko sunaya
Kya ma nana ka saaya nahin hun
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun

2. Who madina jahaan mera ghar he
Aur masjid mein us ghar ka dar he
Kya mein us ghar mein khela nahin hun
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun

3. Chakkiya pees kar maan ne paala
Mujhko nana ne jhula jhulaya
Apna bachpan mein bhula nahin hun
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun

4. Kamli wale ke lab chumta tha
Kitna pyara mera bachpana tha
Kya mein unka dulhara nahin hun
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun

5. Mein jo paani kabhi maangta tha
Kyun tarapti thi maa ab mein samjha
Paas asghar ke jaata nahin hun
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun

6. Mein jo chahun baras jaaein badal
Khun mein duba nazar aaye maqtal
Jang karne mein aya nahin hun
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun

7. Ik sada thi ye Rehaan-o-Sarwar
Kehrahe the Hussain ibne haider
Kya mein mehman aaya nahin hun
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
Kya mein zahra ka jaya nahin hun
Kya nabi ka nawasa nahin hun

0 comments:

Post a Comment